Sunday, September 5, 2010

sher o shayri

*.Jab socha to khyaal tera hi aaya,jab soya to sapna tera hi aaya,ab socha ki pal do pal khuda ko yaad kar lu,par jab hoht khule to naam tera hi aaya..
---------------------
*.Aankho me nami hai,dil me ek talaash hai,Aapka saath aur pyar to ek ehsas hai jo hamesha mere saath hai.
---------------------
*.Sab jaan kar ab khud par haste hai,ke wo mujh par kyo hasti thi!Mujhe rakh k apne pyar k dhokhe me wo pyar kisi aur se karti thi.
---------------------
*.Tumhe chahneki na wajah na koi saza hoti.De to sakte the hum bhi jaan,lekin hamari maut ki aapko koi parwaah na hoti.
---------------------
*.wo CHAND hai magar aap se PYARA to nahi........
PARWANE ka sama ke bin GUJARA to nahi..
humare DIL ne suni 1 MEETHI si aawaj.
kahi aapne hume PUKARA to nahi......
---------------------
*.Dard Kaisa bhi Ho Aankh Nam Na Karo !
Raat Kali Sahi Koi Gam Na Karo !
Ek Sitara Bano Jagmagatey Raho !
Zindagi Mein Sada Muskarate Raho !
Baantni Hain Agar Baant Lo Har Khushi !
Gam Na Zahir Karo Aap Kisi Par Kabhi !!
Dil Ki Gahraayi Mein Gam Chhupatey Raho !
Zindagi Mein Sada Muskarate Raho !
Ashk Anmol Hain Kho Na Dena Kahin !
In Ki Har Boond Hai Motiyon Se Hasin !
Inko Har Aankh Se Aap Churatey Raho !
Zindagi Mein Sada Mushkaratey Raho !
---------------------
*.Rote hai ve kuch is tarah,ki unhe manana bi mushqil ho gaya hai,kya pata koi galti ho gayi humse,ya koi or unke karib ho gaya hai.
---------------------
*.Unse door jane ka irada na tha,sada saath rahne ka vada na tha,wo yaad na karenge jaante the hum,Par itni jaldi bhool jayenge ye Andaza na tha.
---------------------
*.Aina dekhkar hairaan sa ho jata hu khud ko hi bhul gaya tumhe paane k liye.
---------------------
*.Samjha lo apni yaado ko,wo paas kyu aaya karti hai,tum rahkar dur satate ho,wo paas rulaya karti hai..

Shayri OF THE DAY


*.Zakhm itne gehre hain, izhaar kya karen . . . .
Hum khud nishaana ban gaye,Waar kya karen . .
Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen
Ab isse zyaada unka, intezaar kya karen . . .

*.Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi
Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi
Hum to aapki wafa pe zinda the
Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi...


*.Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the
Hum the ki pagalon ki tarah hanste the
Yeh hale dil hum kaise sunaye ki
Takleef na ho unko iss liye akele rote the
---------------------
*.Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
---------------------
*.Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
---------------------
*.Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi
Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi
Hum to aapki wafa pe zinda the
Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi-Hassan
---------------------------
*.Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.-Hassan
-------------------------------
*.Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha
Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha
Apne ko aaj maine beganaa hote dekha
Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha-Hassan
---------------------
*.Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe
hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe
aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun
aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe-Hassan
---------------------
Previous............................................................... Next

No comments: